Saturday, 12 June 2021

बचपन से.. Teacher tak

 Bachpan ke woh din yad hain

Jab purani school ki kitabo ko check kar ke marks diya karte the
Ghar ghar se zayada teacher teacher khela karte the
Bada maza ata tha... Skirt pe mummy ki chunni bandh kar sari pehnna
Woh khilone wala chashma laga kar gussa dikhna
Int ke tukde ko chalk banakar
Pathar ropi board pe likhna

Anjane me khela Yeh khel
Kab sapna ban gaya pata hi nahi chala
Haa Yeh kab apna ban gaya pata hi nahi chala

Padh likh kar bade hogaye hum
Kya kya ban sakte ho ke khul gaye kahi options
Science ke student ho doctor engineer banna
Commerce li hai CA MBA karna
Humanities ke to lawyer bante hain
Tum to padhai me ache ho UPSC dena
Itni rai ke beech sar uncha kar sab ko chup karwaya tha
Teacher banenge hum Yeh sab ko bataya tha

Ab Har saal  pareeksha deke awwal ate hain hum
Khud unche audhe pie na ho na Sahi
Har sal Dr Er CA IAS banate hain hum

Desh ka bhavishya sab se phle  hamane banaya
Ise uncha audha kya kisi aur ne hai paya

Umar badhti hai hamari... Sirf kisi panne par
Aaj bhi school jate hai hum saj sanwar kar
Bacho ke saath bacha banana kam hai hamara
Unka aage badhna inaam hai Hamara
Bachpan khoya nahi har saal naya Bachpan hai paya...
Humne apne students ke sath apna bhavishya bhi hai banaya. 

No comments:

Post a Comment